Khula Mujh Par Dar-e-imkan Rakhna
khula mujh par dar-e-imkan rakhna
mere maula mujhe hairan rakhna
yahi ek marhala manzil na Thahre
yahi ek marhala aasan rakhna
mere dil ka waraq nikle na sada
koi KHwahish koi arman rakhna
ye dil taq-e-charagh-e-zar na Thahre
mere malik mujhe nadan rakhna
mere haalat mujh ko chhu na paen
mujhe har haal mein insan rakhna
bhari rakhna mere maula ye aanhken
dukhon ki barishon ka man rakhna
mere sathi bhi mujh se be-nawa hain
bisaten dekh kar tawan rakhna
ye din kyunkar chaDha wo shab Dhali kyun
mujhe aaya na itna dhyan rakhna
mujhe bhi aam ya gumnam kar de
ki ek aazar hai pahchan rakhna
asir-e-umr ko aaya na ab tak
kitab-e-hijr ka unwan rakhna
hawa ki tarah sahra se guzar ja
safar mein kya sar-o-saman rakhna
(471) Peoples Rate This