KHauf-zada The Kaun Se Log In Sher-dileron Se
KHauf-zada the kaun se log in sher-dileron se
koi to itna puchhe in miTTi ke Dheron se
din ke des se uD aate hain meri aankhon mein
sath nibhana bhul gae the rang andheron se
tir chalane wale ghar kya lauT bhi paenge?
kya ye panchhi dam de denge dur baseron se
sham ka tara, subh ka pahla tara Thahrega
hajla-e-wasl mein raat rahegi, baat saweron se
koi apne ghar ka rasta bhul saka hai kabhi?
kya jaane kyun uD uD jaen kag munDeron se
KHak uDe to mere hathon meri KHak uDe
mujh ko Dar lagta hai, sanpon aur saperon se
mujh ko jaanne wale 'KHalid' jaan na paenge
is chakkar mein nikla hun main, kitne pheron se
(546) Peoples Rate This