KHak Par KHak Ki Dheriyan Rah Gain
KHak par KHak ki Dheriyan rah gain
aadmi uTh gae nekiyan rah gain
kis ki talim ka aaKHiri sal tha
chuDiyan bik gain baaliyan rah gain
ishq ek rup tha husn ki dhup ka
yaad kyun dhup ki saKHtiyan rah gain
KHun mein ghul gain sanwli qurbaten
tan mein tapti hui haDDiyan rah gain
dard angur ki bel the phal gae
gham-kashon ke liye talKHiyan rah gain
arsa-e-fisq mein qismat-e-ishq mein
hikmat-amez paspaiyan rah gain
qumqumon ki tarah qahqahe jal bujhe
mez par chae ki pyaliyan rah gain
us bulandi pe hum ne paDaw kiya
jis ke aage faqat pastiyan rah gain
husn ke hath se aaina gir paDa
farsh-e-pindar par kirchiyan rah gain
hum ne kaghaz ko bhi aaina kar diya
lekin apni siyah-baKHtiyan rah gain
(509) Peoples Rate This