Haal Hawa Jab Puchhne Aai Hum Majburon Se
haal hawa jab puchhne aai hum majburon se
koi baat kahan ban pai hum majburon se
aaj sabhi dukh aansu ban kar aankh mein tair gae
khel rahi thi khel KHudai hum majburon se
wo be-parda wo be-parwa wo yak-sur yak-tal
baat kare ya wo harjai hum majburon se
panw toD ke baiTh rahe hain rah ke patthar bhi
chah rahe the rahh-numai hum majburon se
kis aahaT ki bahaar se pag pag dhul ke phul khile
kis mausam ne Thokar khai hum majburon se
kis ke lams ke aks-numa hain KHushbu ke jhonke
puchh na baiThe gul-e-sahrai hum majburon se
baal nichoD ke jhaTke kis ne dukh ke dal-baadal
puchh rahi hai ye purwai hum majburon se
dard ke ruKH darwaze rakhen chand ke ruKH khiDki
kash kirae wo chunwai hum majburon se
kar-e-numu aaghaz rahega gor ho ya gulshan
rut ne sikhi gul-arai hum majburon se
aankhen honTon ke tale bhi khulte dekhengi
duniya chhin to le goyai hum majburon se
rah dikhane wale kis din kis pal aa pahunchen
kab chhin jae ye binai hum majburon se
nur-e-charagh taq-e-taghaful dil tarik na kar
bol kuchh ai mah-e-yaktai hum majburon se
zahr-piyala pi lo 'KHalid' sulag uTho 'KHalid'
kya kya kahti thi shahnai hum majburon se
(419) Peoples Rate This