Gham Faraham Hain Magar Unki Farawani Nahin

gham faraham hain magar un ki farawani nahin

ai giran-jaani yahan koi bhi aasani nahin

chaar-su ek barf-basta ahd-e-nam ka raj hai

dhup mein hiddat nahin dariyaon mein pani nahin

yaad hai kya kaam hai is shahr ka kya nam hai

sab kuchh us jaisa hai lekin aasman dhani nahin

zindagi ke dukh azal se zindagi ke sath hain

log fani hain magar logon ke dukh fani nahin

zindagi bhar sirf use puja magar ghar baiTh kar

pasdaran-e-wafa ka kaam darbani nahin

ek shajar ke koi do patte bhi ek jaise na the

meri duniya mein kisi shai ka koi sani nahin

(493) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Faraham Hain Magar Unki Farawani Nahin In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Gham Faraham Hain Magar Unki Farawani Nahin is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Gham Faraham Hain Magar Unki Farawani Nahin for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Gham Faraham Hain Magar Unki Farawani Nahin in PDF.