Dar Ye Hai Bazuon Mein Mom Ki Surat Na Pighal Jae Kahin

Dar ye hai bazuon mein mom ki surat na pighal jae kahin

tu mere sath mere jism ke dozaKH mein na jal jae kahin

ghar se gata hua nikla to hun main naghma-e-ehsas magar

shahr ke shor mein dab jaen na sar lai na badal jae kahin

faqat is KHauf se jata nahin main subh-e-tarab ki jaanib

ufuq-e-dil se tere dard ka mahtab na Dhal jae kahin

ye tera kaam nahin dekh na duniya ki taraf gae ja

maddham ek aah mein ek chiKH mein pancham na badal jae kahin

subh nazdik hai karwaT bhi badal soch samajh kar 'KHalid'

zehn par aaKHir-e-shab nind ki talwar na chal jae kahin

(405) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar Ye Hai Bazuon Mein Mom Ki Surat Na Pighal Jae Kahin In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Dar Ye Hai Bazuon Mein Mom Ki Surat Na Pighal Jae Kahin is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Dar Ye Hai Bazuon Mein Mom Ki Surat Na Pighal Jae Kahin for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Dar Ye Hai Bazuon Mein Mom Ki Surat Na Pighal Jae Kahin in PDF.