Dam Sadh Ke Dekhun Tujhe Jhapkun Na Palak Bhi

dam sadh ke dekhun tujhe jhapkun na palak bhi

aankhon mein samo lun tere lahje ki damak bhi

ai ishq agar mujh ko tera izn ho mumkin

aaghosh mein le lun tere paikar ki mahak bhi

ai zikr mere fikr ki taqdir badal de

ai nur mere nutq ke kase mein jhalak bhi

ai qatra-e-KHun mushaf-e-ruKHsar pe til bin

ai satr-e-tapan kaghaz-e-sada pe dahak bhi

dil arz-e-hunar hai to badan arz-e-hunar hai

ai mere dil-e-sada mere tan mein dhaDak bhi

ye rang mere nur mein rakkhe hain usi ne

gundhwai thi jis ne meri miTTi ki mahak bhi

us shahr ki jaanib mere panw nahin uThte

is dil se wahi dur karega ye jhijak bhi

kya main ne kiya hai ki saza-war-e-ridan hun

mujh ko to bahut hai teri kamli ki jhalak bhi

(399) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dam Sadh Ke Dekhun Tujhe Jhapkun Na Palak Bhi In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Dam Sadh Ke Dekhun Tujhe Jhapkun Na Palak Bhi is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Dam Sadh Ke Dekhun Tujhe Jhapkun Na Palak Bhi for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Dam Sadh Ke Dekhun Tujhe Jhapkun Na Palak Bhi in PDF.