Apne Dil Ka Haal Na Kahna Kaisa Lagta Hai

apne dil ka haal na kahna kaisa lagta hai

tum ko apna chup chup rahna kaisa lagta hai

dukh ki bunden kya tum ko bhi khati rahti hain

aahista aahista Dhahna kaisa lagta hai

dard bhari raaten jis dam halkore deti hain

dariyaon ke ruKH par bahna kaisa lagta hai

main to apni dhun mein chakraya sa phirta hun

tum ko apni mauj mein rahna kaisa lagta hai

kya tum bhi sahil ki surat kaTte rahte ho

pal pal gham ki lahren sahna kaisa lagta hai

kya shamen tum ko bhi shab bhar be-kal rakhti hain

tum suraj ho tum ko lahna kaisa lagta hai

kya tum bhi galiyon mein ghar ki wusat pate ho

tum ko ghar se bahar rahna kaisa lagta hai

kam-ahang suron mein tum kya gate rahte ho

kuchh bhi na sunna kuchh bhi na kahna kaisa lagta hai

dard to sanson mein baste hain kaun dikhae tumhein

phulon par KHushbu ka gahna kaisa lagta hai

(454) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Dil Ka Haal Na Kahna Kaisa Lagta Hai In English By Famous Poet Khalid Ahmad. Apne Dil Ka Haal Na Kahna Kaisa Lagta Hai is written by Khalid Ahmad. Read famous Poem Apne Dil Ka Haal Na Kahna Kaisa Lagta Hai for youth and Student by Khalid Ahmad. Free Download Apne Dil Ka Haal Na Kahna Kaisa Lagta Hai in PDF.