Kaun Batae Kya Hai Haqiqat Aur Bana Afsana Kya
kaun batae kya hai haqiqat aur bana afsana kya
dil ki basti kya basti hai basna kya luT jaana kya
barson ne jo rishte joDe pal bhar ne wo toD diye
pyare! ab TuTe TukDon se apna ji bahlana kya
aaj to jun-tun kaT jaega kal ki socho kya hoga
jo guzri so guzar chuki itrana kya pachhtana kya
kaisa tufan kaisi balaen yaro! ye bhi socho to
sikha hai mar mar ke jina jite-ji mar jaana kya
jaane kitne Dubne wale sahil par bhi Dub gae
pyare! tufanon mein rah kar itna bhi ghabrana kya
tanha tanha ji ke dekha sath bhi ji ke dekh liya
hum ne kya samjha hai jina auron ko samjhana kya
sud-o-ziyan ki baaten chhoDo aur hi baaten chheDo bhi
ishq ke hathon kya khoya hai kya paya dohrana kya
apni ram-kahani mein bhi jag-biti ka jadu tha
palken jhapki jati hain ab KHatm hua afsana kya
(437) Peoples Rate This