Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ed7c14b6fea1c46dbd3499a951db939a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Na Honge To Hamein Yaad Karoge Yaro - Khaleeq Qureshi Poetry In English - Darsaal

Hum Na Honge To Hamein Yaad Karoge Yaro

hum na honge to hamein yaad karoge yaro

tazkire honge yahi jab bhi miloge yaro

hum ne rudad-e-wafa KHud se murattab ki hai

dastan phir ye kabhi sun na sakoge yaro

hum na honge to kise paoge dil ka mahram

hum na honge to ye dukh kis se kahoge yaro

mahfilen yunhi rahengi yunhi yaron ke hujum

lekin ek baat jise phir na sunoge yaro

hum se zinda hai rah-o-rasm-e-mohabbat ab tak

us ko jaan de ke kahan zinda rakhoge yaro

hum ne har bar hawadis ki kalai moDi

tum unhen kis tarah maghlub karoge yaro

zikr hoga lab-e-ayyam pe aksar apna

tum hamein mushaf-e-alam mein paDhoge yaro

waqt pujega hamein waqt hamein DhunDega

aur tum waqt ke ham-rah chaloge yaro

hamin tariKH-e-zamana ke murattab hain 'KHaliq'

hamein tariKH mein ek roz kahoge yaro

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Na Honge To Hamein Yaad Karoge Yaro In English By Famous Poet Khaleeq Qureshi. Hum Na Honge To Hamein Yaad Karoge Yaro is written by Khaleeq Qureshi. Read famous Poem Hum Na Honge To Hamein Yaad Karoge Yaro for youth and Student by Khaleeq Qureshi. Free Download Hum Na Honge To Hamein Yaad Karoge Yaro in PDF.