Tishnagi
zindagi tishnagi ka safar hai
jis ke daman mein
karoDon mah-o-sal ke naqsh KHwabida hain
wo pyas ki aag thi jis ki KHatir ye insan
ghane jangalon mein KHalaon ki nilahaTon mein
gahre samundar ki pahnaiyon mein bhaTakta raha hai
wo jism aur ruh ki pyas hai jo ab tak
KHalaon ka rup dhaare
pattharon ke sine mein dard ban kar
kaghzi paikaron mein rang bhar kar
git, sangit mein bikhar kar
machalti rahi hai
aur agar tishnagi bujh gai to
KHalaon ke narm sote
andhere ke sahra mein kho jaenge
(365) Peoples Rate This