Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_020a8b348c829d827ebf4b9792666942, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Kaisi Pyas Hai Main Jism Ke Sarab Mein Hun - Khaleel Tanveer Poetry In English - Darsaal

Ye Kaisi Pyas Hai Main Jism Ke Sarab Mein Hun

ye kaisi pyas hai main jism ke sarab mein hun

nikal ke jaun kidhar kaise iztirab mein hun

chaTan sar pe liye phir raha hun sadiyon se

janam janam se na jaane mein kis azab mein hun

tu mujh ko bhulna chahe to bhul sakta hai

main ek harf-e-tamanna teri kitab mein hun

main kya hun kaun hun kya chiz mujh mein muzmar hai

kai hijab uThae magar hijab mein hun

bikhar hi jaunga ek zarbat-e-sada to mile

main ek raqs-e-sharar sina-e-rabab mein hun

(402) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Kaisi Pyas Hai Main Jism Ke Sarab Mein Hun In English By Famous Poet Khaleel Tanveer. Ye Kaisi Pyas Hai Main Jism Ke Sarab Mein Hun is written by Khaleel Tanveer. Read famous Poem Ye Kaisi Pyas Hai Main Jism Ke Sarab Mein Hun for youth and Student by Khaleel Tanveer. Free Download Ye Kaisi Pyas Hai Main Jism Ke Sarab Mein Hun in PDF.