Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b5d2c8423842a123f9690c616a543a1c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wahan Pahunch Ke Har Ek Naqsh-e-gham Paraya Tha - Khaleel Tanveer Poetry In English - Darsaal

Wahan Pahunch Ke Har Ek Naqsh-e-gham Paraya Tha

wahan pahunch ke har ek naqsh-e-gham paraya tha

wo rasta ki jahan hausla bhi haara tha

bahut aziz the us ko safar ke hangame

wo sab ke sath chala tha magar akela tha

wo zaKHm zaKHm tha tira-shabi ke daman mein

labon pe phul nazar mein kiran bhi rakhta tha

ajib shaKHs tha us ko samajhna mushkil hai

kinar-e-ab khaDa tha magar wo pyasa tha

use KHabar thi ki aashob-e-agahi kya hai

wo dard-o-gham jise apni zaban mein kahta tha

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahan Pahunch Ke Har Ek Naqsh-e-gham Paraya Tha In English By Famous Poet Khaleel Tanveer. Wahan Pahunch Ke Har Ek Naqsh-e-gham Paraya Tha is written by Khaleel Tanveer. Read famous Poem Wahan Pahunch Ke Har Ek Naqsh-e-gham Paraya Tha for youth and Student by Khaleel Tanveer. Free Download Wahan Pahunch Ke Har Ek Naqsh-e-gham Paraya Tha in PDF.