Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_beb8d62f21e74bb05a0bdcd07dbfe7bd, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Parai Aag Mein Jalne Ki Aarzu Hai Wahi - Khaleel Tanveer Poetry In English - Darsaal

Parai Aag Mein Jalne Ki Aarzu Hai Wahi

parai aag mein jalne ki aarzu hai wahi

badal gaya hai magar wahshaton ki KHu hai wahi

wo shahr chhoD ke muddat hui chala bhi gaya

had-e-ufuq pe magar chand ru-ba-ru hai wahi

zamana lakh sitaron ko chhu ke aa jae

abhi dilon ko magar hajat-e-rafu hai wahi

qarib tha to sabhi us se be-KHabar the magar

chala gaya hai to mauzu-e-guftugu hai wahi

(360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parai Aag Mein Jalne Ki Aarzu Hai Wahi In English By Famous Poet Khaleel Tanveer. Parai Aag Mein Jalne Ki Aarzu Hai Wahi is written by Khaleel Tanveer. Read famous Poem Parai Aag Mein Jalne Ki Aarzu Hai Wahi for youth and Student by Khaleel Tanveer. Free Download Parai Aag Mein Jalne Ki Aarzu Hai Wahi in PDF.