Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eb7719cb0cff799a7d4fa758a8d65167, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Apna Gham Hai Use Aaina Dikhaun Main - Khaleel Tanveer Poetry In English - Darsaal

Jo Apna Gham Hai Use Aaina Dikhaun Main

jo apna gham hai use aaina dikhaun main

bas ek qatre mein dariya sameT laun main

teri nigah to KHush-manzari pe rahti hai

teri pasand ke manzar kahan se laun main

jo dil ki hasrat-e-tamir hai so itni hai

ki ho sake to kisi dil mein ghar banaun main

main jaanta hun andheron ki zindagi kya hai

bujhe charagh to dil ka diya jalaun main

jo zaKHm deta hai to be-asar hi deta hai

KHalish wo de ki jise bhul bhi na paun main

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Apna Gham Hai Use Aaina Dikhaun Main In English By Famous Poet Khaleel Tanveer. Jo Apna Gham Hai Use Aaina Dikhaun Main is written by Khaleel Tanveer. Read famous Poem Jo Apna Gham Hai Use Aaina Dikhaun Main for youth and Student by Khaleel Tanveer. Free Download Jo Apna Gham Hai Use Aaina Dikhaun Main in PDF.