Hasad Ki Aag Thi Aur Dagh Dagh Sina Tha
hasad ki aag thi aur dagh dagh sina tha
dilon se dhul na saka wo ghubar-e-kina tha
zara si Thes lagi thi ki chur chur hua
tere KHayal ka paikar bhi aabgina tha
rawan thi koi talab si lahu ke dariya mein
ki mauj mauj bhanwar umr ka safina tha
wo jaanta tha magar phir bhi be-KHabar hi raha
ajib taur tha us ka ajab qarina tha
bahut qarib se guzre magar KHabar na hui
ki ujDe shahr ki diwar mein dafina tha
(587) Peoples Rate This