Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7a37d301fba977fc2db5ebcd60dfb324, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Auron Ki Burai Ko Na Dekhun Wo Nazar De - Khaleel Tanveer Poetry In English - Darsaal

Auron Ki Burai Ko Na Dekhun Wo Nazar De

auron ki burai ko na dekhun wo nazar de

han apni burai ko parakhne ka hunar de

wo log jo suraj ke ujale mein chale the

kis rah mein gum ho gae kuchh un ki KHabar de

ek umr se jalte hue sahraon mein gum hun

kuchh der Thahar jaunga daman-e-shajar de

ek KHauf sa tari hai gharon se nahin nikle

tarsi hui aaankhon ko sarabon ka safar de

sab apne charaghon ko bujhae hue chup hain

ek aag si sine mein laga de wo sharar de

(408) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Auron Ki Burai Ko Na Dekhun Wo Nazar De In English By Famous Poet Khaleel Tanveer. Auron Ki Burai Ko Na Dekhun Wo Nazar De is written by Khaleel Tanveer. Read famous Poem Auron Ki Burai Ko Na Dekhun Wo Nazar De for youth and Student by Khaleel Tanveer. Free Download Auron Ki Burai Ko Na Dekhun Wo Nazar De in PDF.