Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e5ed32a68dbc149c79441fe34b652063, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raushni Le Kar Andheri Raat Mein Nikla Na Kar - Khaleel Rampuri Poetry In English - Darsaal

Raushni Le Kar Andheri Raat Mein Nikla Na Kar

raushni le kar andheri raat mein nikla na kar

raat parde ke liye hai KHud ko be-parda na kar

dahr ka phailaw bhi nuqta nazar aane lage

sher kahta hai to kah itna magar socha na kar

ek din tu bhi kisi tare se Takra jaega

dost mere raat ki galiyon mein yun ghuma na kar

chand bhi utra tha pichhli shab isi talab mein

kyun chamakta hai naha dho kar badan ponchha na kar

aaina chamkae rakh sab kuchh nazar aa jaega

jis ki chahat ho use KHud se juda samjha na kar

dopahar ki lahr chehre ko jhulas degi 'KHalil'

ghar ki ThanDak chhoD kar peDon tale baiTha na kar

(446) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushni Le Kar Andheri Raat Mein Nikla Na Kar In English By Famous Poet Khaleel Rampuri. Raushni Le Kar Andheri Raat Mein Nikla Na Kar is written by Khaleel Rampuri. Read famous Poem Raushni Le Kar Andheri Raat Mein Nikla Na Kar for youth and Student by Khaleel Rampuri. Free Download Raushni Le Kar Andheri Raat Mein Nikla Na Kar in PDF.