Raushni Karne Aaya Tha Suraj
raushni karne aaya tha suraj
sae dekhe to Dhal gaya suraj
parda jab bhi haTaya khiDki se
mere kamre mein aa gaya suraj
aa gae hum chhaton se kamron mein
aur hamein DhunDhta phira suraj
chandni bhi udas lagti hai
mujh ko viran kar gaya suraj
raat ne baadban khol diya
apna saman le gaya suraj
sara din kan bajte rahte hain
har kiran hai teri sada suraj
ek main hi nahin hun duniya mein
tera sab se hai rabta suraj
koi diwar bhi nahin hail
tera darbar hai khula suraj
sans teri hai sab ke sinon mein
sab tujhi se hai silsila suraj
mera tera muqabla kaisa
main to hun ghar ka ek diya suraj
aaj ka din 'KHalil' kya guzra
aaj dil se utar gaya suraj
(430) Peoples Rate This