Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a881f13020ab9abbc4c96e70669aa58d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Jaisa Bhi Hun Tere Samne Hun - Khaleel Rampuri Poetry In English - Darsaal

Main Jaisa Bhi Hun Tere Samne Hun

main jaisa bhi hun tere samne hun

jo duniya hai wo de de samne hun

teri duniya hai to har chiz mein hai

jahan bhi hun main tere samne hun

abhi din hai bata kya chahta hai

abhi zinda hun tere samne hun

falak ki jagmagati chhat hai sar par

main hairan hun ki kis ke samne hun

hawa chalti hai ya gata hai koi

wo kaun aisa hai kis ke samne hun

mujhe to sharm aati hai ye kahte

main pyasa hun tumhaare samne hun

(464) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jaisa Bhi Hun Tere Samne Hun In English By Famous Poet Khaleel Rampuri. Main Jaisa Bhi Hun Tere Samne Hun is written by Khaleel Rampuri. Read famous Poem Main Jaisa Bhi Hun Tere Samne Hun for youth and Student by Khaleel Rampuri. Free Download Main Jaisa Bhi Hun Tere Samne Hun in PDF.