Kya Batlaun Kaise Din Main KaT Raha Hun
kya batlaun kaise din main kaT raha hun
moti hun aur raste mein bekar paDa hun
lambi lambi caron walon se achchha hun
rukhi-sukhi jo milti hai kha leta hun
tanhai mein akasr main socha karta hun
suraj chand sitare kya hain aur main kya hun
baadal parbat dariya chashme jangal sahra
kyun bhate hain main in sab ka kya lagta hun
aag aur pani mein kahte hain bair baDa hai
lekin main to us se mil kar KHush hota hun
itni nafrat yaro mujh se kyun karte ho
main bhi gulshan ka ek gul hun tum jaisa hun
mere chahne walon ka bhi ek halqa hai
main bhi gulzaron ki wadi ka jharna hun
mere chaal-chalan se bhi kuchh hasil kar lo
main bhi ek autar ka sa darja rakhta hun
ek hi manzar ne aankhon ko Dhanp rakha hai
roz-e-awwal se ye suraj dekh raha hun
KHud se jab baaten karne ko ji chaha hai
ghar se uTh kar nadi kinare ja baiTha hun
mere haal se duniya ka andaza kar lo
main phaldar shajar ka ek pila patta hun
dhyan ko tanhai ke ghar ka peD samjhiye
main bhi us ke sae mein barson baiTha hun
jaane kis pal ki KHushbu hai mere aage
jaane kis duniya ke pichhe dauD raha hun
kaise kaise log guzarte hain nazron se
sara din main kaise kaise dukh sahta hun
mere KHadd-o-KHal ko dekho aur pahchano
main bhi apni irfani ka katba hun
bas ke pahiye KHak uDa jate hain mujh par
wo kya jaanen kaun hun aur kis ka chehra hun
ata-pata kya puchh rahe ho mera logo
rampuri shair hun aur ghazlen kahta hun
(465) Peoples Rate This