Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9f1666bb26b36b9f179f262c7e619fb3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Is Tarah Liye Phirta Hai Jaan Hatheli Par - Khaleel Rampuri Poetry In English - Darsaal

Jo Is Tarah Liye Phirta Hai Jaan Hatheli Par

jo is tarah liye phirta hai jaan hatheli par

wo dekhna kabhi jaan se guzar hi jaega

KHayal hai koi uDta hua parind nahin

jahan bhi jaega be-baal-o-par hi jaega

ye aasman jo azal se siwa rahe mujh par

ye bojh bhi kahin sar se utar hi jaega

main us ka chahne wala hun koi ghair nahin

wo mere samne aa kar nikhar hi jaega

wo kab kahega ki main ne lagai thi ye aag

wo jab bhi samna hoga mukar hi jaega

khila hua hai nazar mein gul-e-KHayal koi

'KHalil' aankh jo jhapki bikhar hi jaega

(415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Is Tarah Liye Phirta Hai Jaan Hatheli Par In English By Famous Poet Khaleel Rampuri. Jo Is Tarah Liye Phirta Hai Jaan Hatheli Par is written by Khaleel Rampuri. Read famous Poem Jo Is Tarah Liye Phirta Hai Jaan Hatheli Par for youth and Student by Khaleel Rampuri. Free Download Jo Is Tarah Liye Phirta Hai Jaan Hatheli Par in PDF.