Hara-bhara Tha Kabhi JhaD Sa Badan Mera
hara-bhara tha kabhi jhaD sa badan mera
ki aainon mein jhalakta tha bankpan mera
charagh le ke mujhe DhunDne nikalta tha
mere baghair na rahta tha ham-suKHan mera
siyahiyon ke bhanwar se nikal ke aaya hun
dhula rahi hai ujalon se munh kiran mera
siyah phul khila dhup ki munDeron par
hawa mein Tang diya kis ne pairahan mera
main reg-zar pe likkhi hui ibarat hun
hawa chalegi to uD jaega badan mera
bala rahi hai mujhe barf se Dhaki choTi
paDa hua hai chaTanon ke ghar kafan mera
shumar hone lage motiyon mein kankar bhi
'KHalil' kaam to aaya kisi ke fan mera
(475) Peoples Rate This