Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9e14cddb3be159f79a9fa348854884f4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
NaKHuda Bhi Nahin KHuda Bhi Nahin - Khaleel Raazi Poetry In English - Darsaal

NaKHuda Bhi Nahin KHuda Bhi Nahin

naKHuda bhi nahin KHuda bhi nahin

koi mera tere siwa bhi nahin

muddaa ghair muddaa bhi nahin

aur hasrat ka puchhna bhi nahin

kahish-e-gham harif-e-jaan hi sahi

gham na ho to yahan maza bhi nahin

shisha-e-dil to chor hai lekin

aasra hai ki TuTta bhi nahin

husn ka aks hai hijab-e-nazar

phir junun ko to sujhta bhi nahin

bazm se un ki uTh gaya KHud main

koi pursan-e-haal tha bhi nahin

ishq mein paD ke luT gaya 'raazi'

un ko gham hai ki kuchh hua bhi nahin

(482) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

NaKHuda Bhi Nahin KHuda Bhi Nahin In English By Famous Poet Khaleel Raazi. NaKHuda Bhi Nahin KHuda Bhi Nahin is written by Khaleel Raazi. Read famous Poem NaKHuda Bhi Nahin KHuda Bhi Nahin for youth and Student by Khaleel Raazi. Free Download NaKHuda Bhi Nahin KHuda Bhi Nahin in PDF.