BhaTak Raha Hun Ki Gir Kar Sambhal Raha Hun Main
bhaTak raha hun ki gir kar sambhal raha hun main
kisi tarah se to raste pe chal raha hun main
nawazishat ki had se nikal raha hun main
haTa le hath ki karwaT badal raha hun main
junun mein aql ki saudagari bhi ki main ne
nigah-e-naz se duniya badal raha hun main
hawa-e-gham se ghira hai charagh hasti ka
sambhaalna ki tere pas jal raha hun main
kisi bhi sanche mein qismat na Dhal saki ab tak
hazar soz-e-tapish se pighal raha hun main
wo aa chale wo abhi aae dekh lo 'raazi'
zara si der hai ruk jao chal raha hun main
(442) Peoples Rate This