Jila-watan Shahzad-gan Ka Jashn

qabr ki miTTi chura kar bhagne walon mein hum afzal nahin

hum koi qatil nahin

bismil nahin

munjamid KHunin chaTanon par do-zanu baiTh kar

ghumti sui ke raste ki salibon se Tapakte

qatra qatra surKH-ru sayyal ko

ungliyon par gin rahe hain

chun rahe hain

manzar-e-neelofari ki jhil mein

girta hua ek aasman-e-nur ka zaKHKHar shor

hum ki apni tishnagi ke sab zaruf

apni apni past-qad dahliz par toD aae the

nariyal ke aasman andoKHta sayon tale

laDkhaDa kar

aatishin sahil ki jalti ret par aundhe paDe hain

aatishin sayyal jab jab

jism ki sarhad pe ghash khae sipahi ki ragon ko chheDta hai

hosh aata hai

to chaaron samt raushan dekhte hain

ek alaw be-karan

jis mein tamam aasmanon ki ridaen jal rahi hain

aur phir

jalte gulabon se ubharti zafrani raushni

hum ko salami de rahi hai

(395) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jila-watan Shahzad-gan Ka Jashn In English By Famous Poet Khaleel Mamoon. Jila-watan Shahzad-gan Ka Jashn is written by Khaleel Mamoon. Read famous Poem Jila-watan Shahzad-gan Ka Jashn for youth and Student by Khaleel Mamoon. Free Download Jila-watan Shahzad-gan Ka Jashn in PDF.