Ghazal-e-shab Ke Sath

main yahan nahin tha

main wahan nahin tha

dard-bhare aasman mein

chiKH ban ke

ubhar raha tha

tang ghaTiyon mein

gunj ban raha tha

samundaron pe

reza reza gir raha tha

main yahan nahin tha

kale jangalon ke ghor andhere mein tha

rafta rafta sab siyahi miT gai

sare jangal

kaT gae

hayule ghaTte ghaTte

ghazal-e-shab bane

andhere chhaT gae

abr ke siyah TukDe dhund ban gae

chaar-su dhund phailti gai

ikaiyon ko dur dur tak bahati

chaar-su phailti gai

dhund mein

ghazal-e-shab ne

rafta rafta aankh kholi

zaban se kuchh na boli

haft-asmanon se le ke

taht-us-sura tak

hazar-ha charagh jal uThe

raushni se jal gai

ghazal-e-shab ki aankh nur thi

ghazal-e-shab ki aankh tur thi

rafta rafta

raushni ne raushni ko

apni jaanib khincha

aur main nur mein naha gaya

dudhiya siyah rang

chahaar samt chha gaya

paniyon ka zor

baDhne laga

sailab aaya

bandh TuTe

ret ke gharaunde

miTTi ke ganw

pattharon ke shahr Dhah gae

subh-o-sham ke kinare

ek duje se gale mil gae

andhere jism ke khanDar ki

siyah taqon mein

dilon ke sau charagh jal gae

rafta rafta

ghazal-e-shab ne aankh band ki

aur

sara pani khai ki taraf chala gaya

tez paniyon mein

main bhi aa gaya

ab faqat

main raushni mein band hun

aur

andheron ko taras raha hun

main yahan nahin hun

main

ghazal-e-shab ke sath hun

main

ghazal-e-shab ke sath hun

(388) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazal-e-shab Ke Sath In English By Famous Poet Khaleel Mamoon. Ghazal-e-shab Ke Sath is written by Khaleel Mamoon. Read famous Poem Ghazal-e-shab Ke Sath for youth and Student by Khaleel Mamoon. Free Download Ghazal-e-shab Ke Sath in PDF.