Sarf Chehra Hi Nazar Aata Hai Aaine Mein
sarf chehra hi nazar aata hai aaine mein
aks-e-aina nahin dikhta hai aaine mein
silsila yaad ka jab zehn mein jag uThta hai
ek dariya sa umaD aata hai aaine mein
apni aankhon ko kabhi ghaur se jab dekhta hun
nur chehra tera jag uThta hai aaine mein
rote rote jau kabhi paDti hai us samt nazar
koi namnak diya jalta hai aaine mein
kabhi aisa bhi hua hai ki shab-e-furqat mein
aks ubhar kar tera kho jata hai aaine mein
taire chehre ki hansi dekh ke yun lagta hai
phul jaise koi khil uThta hai aaine mein
kya KHabar kaisa lage aks jo bahar aa jae
us ko rahne do wahin achchha hai aaine mein
us mein jo Duba kabhi wo na ubharne paya
maujzan ek siyah dariya hai aaine mein
aaina-KHana mein kya hum se chhupa hai 'mamun'
hum ne kya kya na bhala dekha hai aaine mein
(321) Peoples Rate This