Na Nind Hai Na KHwab Hai Na Yaad Hai Na Raat Hai
na nind hai na KHwab hai na yaad hai na raat hai
zamin na aasman hai zaman na kaenat hai
ye jism-o-jaan ka qafila hai rasta pe kaun se
na manzilon ki aas hai na rahrawon ka sath hai
umid o aarzu ke rang kyun phike lag rahe hain ab
kami hai aab-o-gil mein kuchh lahu mein koi baat hai
hai un ke waste tamam fath-o-kaamraniyan
mere liye hamesha se jo hai to sirf mat hai
main lahza lahza kaT ke gir raha hun andhi khai mein
ye zindagi ka rasta nahin hai pul-siraat hai
hai wasl apne-ap se firaq apne-ap se
nahin hai koi bhi yahan bas ek meri zat hai
'mamun' azal se ta-abad nahin hai koi raushni
KHala mein dur dur tak bas ek azim raat hai
(338) Peoples Rate This