Kaenat-e-gham Mein Zehn Ek KHala Hai
kaenat-e-gham mein zehn ek KHala hai
KHwab ka parinda jis mein aD raha hai
raat kaT gai hai subh ho gai hai
dil ko DhunDiye mat kab ka jal bujha hai
dard ke sahaare kab talak chalenge
sans ruk rahi hai fasla baDa hai
is jagah pe sab ne hath chhoD Dala
ye maqam shayad manzil-e-wafa hai
TuTte badan mein dil ajib shai hai
retili zamin mein phul khil raha hai
kyun hawa nai badlin mere munh ki baaten
main nai kuchh kaha hai us nai kuchh suna hai
teri kya ye haalat ho gai hai 'mamun'
KHud hi kah raha hai KHud hi sun raha hai
(332) Peoples Rate This