Junun Ziyaada Bahut Hota Aql Kam Hoti
junun ziyaada bahut hota aql kam hoti
main qahqaha bhi lagata to aankh nam hoti
hazaron chand sitare chamak gae hote
kabhi nazar jo teri mail-e-karam hoti
nahin hai maslahat-e-gham ko aarzu teri
tera jo gham bhi na hota to aankh nam hoti
har ek zahr ko tum ne bana diya tiryak
jo tum na hote har ek sans meri sam hoti
Thahar na jata agar main faraaz par 'mamun'
talash-e-gham bhi meri hasil-e-adam hoti
(372) Peoples Rate This