Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_cdd634379012e8721774d9424b873d70, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghar Ko Yun ToDo Ki Phir Hasrat-e-tamir Na Ho - Khaleel Mamoon Poetry In English - Darsaal

Ghar Ko Yun ToDo Ki Phir Hasrat-e-tamir Na Ho

ghar ko yun toDo ki phir hasrat-e-tamir na ho

koi taqdir na ho aur koi tadbir na ho

aise mar jaen koi naqsh na chhoDen apna

yaad dil mein na ho aKHbar mein taswir na ho

baiThe baiThe yunhi andhiyare mein zail ho jaen

koi dam-saz na ho koi KHabar-gir na ho

nind mein titliyan aankhon mein lahakti jaen

KHwab dekhen magar us KHwab ki tabir na ho

kaun santa hai mere sher yahan ab 'mamun'

ain-mumkin hai meri baat mein tasir na ho

(353) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Ko Yun ToDo Ki Phir Hasrat-e-tamir Na Ho In English By Famous Poet Khaleel Mamoon. Ghar Ko Yun ToDo Ki Phir Hasrat-e-tamir Na Ho is written by Khaleel Mamoon. Read famous Poem Ghar Ko Yun ToDo Ki Phir Hasrat-e-tamir Na Ho for youth and Student by Khaleel Mamoon. Free Download Ghar Ko Yun ToDo Ki Phir Hasrat-e-tamir Na Ho in PDF.