Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_76653d2cc535b76b9bfc143169952fab, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Mein Umang Aur Irada Koi To Ho - Khaleel Mamoon Poetry In English - Darsaal

Dil Mein Umang Aur Irada Koi To Ho

dil mein umang aur irada koi to ho

be-kaif zindagi mein tamasha koi to ho

ye kya ki dafn ho gae chup-chap qabr mein

marne ke baad maut ka jalsa koi to ho

koi to nam le ke pukare hamein yahan

is bhiD mein hamara shanasa koi to ho

milti nahin hai KHak kahin sar pe Dalne

dariya bahut se dekhe hain sahra koi to ho

aankhon mein nur hai na halawat zaban mein

ahbab itne sare hain miTha koi to ho

baaton se aql-o-fahm ki tang aa chuka hun main

danish-kade mein ek diwana koi to ho

ye sach hai main hun qaid KHayalon mein KHwab mein

jine ke waste mere duniya koi to ho

mar kar dawam panw ye ummid to nahin

meri kahani baad mein kahta koi to ho

(437) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Umang Aur Irada Koi To Ho In English By Famous Poet Khaleel Mamoon. Dil Mein Umang Aur Irada Koi To Ho is written by Khaleel Mamoon. Read famous Poem Dil Mein Umang Aur Irada Koi To Ho for youth and Student by Khaleel Mamoon. Free Download Dil Mein Umang Aur Irada Koi To Ho in PDF.