Bula Raha Hai Mujhe Aasman Tumhaari Taraf
bula raha hai mujhe aasman tumhaari taraf
jala ke nikla hun sab aashiyan tumhaari taraf
main jaanta hun ki sare jahan hain KHatm yahan
mujhe milega na koi jahan tumhaari taraf
KHamoshiyon ka bas ek silsila hai dur talak
na koi lafz na koi zaban tumhaari taraf
har ek jita hai wusat mein kaenaton ke
koi banata nahin hai makan tumhaari taraf
mare houn ko koi mare kis tarah aaKHir
na koi tir na koi sinan tumhaari taraf
na koi dariya na parbat na aashiyan na shajar
zamin hai koi na hi aasman tumhaari taraf
zuhur-e-ishq ki duniya ko chhoD aaya hun
main KHud ko karta hun sab se nihan tumhaari taraf
main manzilon se bahut dur aa gaya 'mamun'
safar ne kho diye sare nishan tumhaari taraf
(408) Peoples Rate This