Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0e417ca93ba4a17816252be797aff179, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aisa Ho Zindagi Mein Koi KHwab Hi Na Ho - Khaleel Mamoon Poetry In English - Darsaal

Aisa Ho Zindagi Mein Koi KHwab Hi Na Ho

aisa ho zindagi mein koi KHwab hi na ho

andhiyari raat mein koi mahtab hi na ho

sukhe daraKHt ki tarah dariya mein gir paDen

marne ke waste koi sailab hi na ho

puja karen magar na dua ko uThaen hath

shahr-e-hawas mein mabad-e-arbab hi na ho

mar jaen is se pahle ki wo faisla karen

hathon mein koi pyala-e-zahrab hi na ho

'mamun' jal ke KHak mein mil jae chashm-e-tar

aansu bahane chashma-e-sardab hi na ho

(342) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aisa Ho Zindagi Mein Koi KHwab Hi Na Ho In English By Famous Poet Khaleel Mamoon. Aisa Ho Zindagi Mein Koi KHwab Hi Na Ho is written by Khaleel Mamoon. Read famous Poem Aisa Ho Zindagi Mein Koi KHwab Hi Na Ho for youth and Student by Khaleel Mamoon. Free Download Aisa Ho Zindagi Mein Koi KHwab Hi Na Ho in PDF.