Tufan Hi Nahin Ghat Mein Hon Jis Ke Bhanwar Bhi
tufan hi nahin ghat mein hon jis ke bhanwar bhi
milte hain usi gahre samundar se guhar bhi
sahta hai jo ek habs-e-musalsal ki girani
hota hai usi shahr se aandhi ka guzar bhi
yun pyar hai us se ki faqat main hi nahin hun
miTTi se bane hain mere diwar bhi dar bhi
gur dip jila kar use aagah na karta
mahfuz tha har shab ki hawa se mera ghar bhi
aankhon se magar raat ka patthar nahin haTta
tabir to rakhta hai mera KHwab-e-sahar bhi
julte hain kaDi dhup mein kyun apne hi aangan
suraj to yahi hai jo ubharta hai udhar bhi
nisbat hai hamein aise qabile se ki jis ke
nezon pe sada dete hain be jism ke sar bhi
kuchh soch ke wo bab-e-qafas khol raha hai
kal tak thi giran jis pe meri jumbish-e-par bhi
hum log faqat dasht-nawardi nahin karte
aata hai hamein shahr basane ka hunar bhi
(447) Peoples Rate This