Ruh Ke Daman Se Apni Duniya-dari Bandh Kar
ruh ke daman se apni duniya-dari bandh kar
chal rahe hain dam-ba-dam aankhon pe paTTi bandh kar
ye kahani ek aise sar-phire mausam ki hai
KHushk patton se jo le aaya tha aandhi bandh kar
haq agar koi numu ka tha to wo us ne ada
kar diya hai baadalon se aabyari bandh kar
subh hoti hai to kunj-e-KHush-gumani mein kahin
phenk di jati hai shab bhar ki siyahi bandh kar
ai mere dariya agar koi bharosa ho tera
chhoD jaun main teri lahron se kashti bandh kar
gam uThte hi safar ne paT di sari KHalij
rah-rawi ne Dal di ek samt duri bandh kar
main sarasar ek andesha hun naqs-e-amn ka
mujh ko rakhta hai lihaza mera qaidi bandh kar
ijz-goi par paDaw Dal deti hai meri
lafz-yabi manawiyat se hai titli bandh kar
khil rahe hain sar-zamin-e-dil pe jazbon ke gulab
uD rahi hai aaj KHushbu KHud se titli bandh kar
jaane sine mein bikau shai hai kya jis ke liye
dauDti phirti hain sansen rez-gari bandh kar
wa hue hote dariche aaj imkanat ke
gar na rakh deti hamein apni masai bandh kar
(850) Peoples Rate This