Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6ecnhmisf5mvhi0cr2ekbr0d31, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamesha Ki Tarah Banhen Meri Patwar Karne Ka - Khaavar Jilani Poetry In English - Darsaal

Hamesha Ki Tarah Banhen Meri Patwar Karne Ka

hamesha ki tarah banhen meri patwar karne ka

kiya hai faisla naw ne dariya par karne ka

wahi hai mashghala sadiyon purana aaj bhi apna

zamin par bojh hone aasman ko bar karne ka

safar ka marhala to baad mein mahl-e-nazar hoga

abhi to muddaa hai rasta pur-KHar karne ka

talluq TuTta jata hai apne-ap se mera

tawassut ban rahi hai aagahi bezar karne ka

mujhe rakhti hai mushkil roz-marra ki sahulat mein

mera mamul hai aasaniyan dushwar karne ka

tamaddun ko hawa deti hai aashufta-sari meri

mujhe tamir karta hai junun mismar karne ka

kahan tak aur jaane aazmati jaegi mujh par

hunar jo jaanti hai shaeri bekar karne ka

wo kuchh se kuchh bana Dalega taslimat ke mani

saliqa aa gaya us ko agar inkar karne ka

na jaane soch kar suraj ne kya shab ki qalam-rau par

irada multawi hi kar diya yalghaar karne ka

(994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamesha Ki Tarah Banhen Meri Patwar Karne Ka In English By Famous Poet Khaavar Jilani. Hamesha Ki Tarah Banhen Meri Patwar Karne Ka is written by Khaavar Jilani. Read famous Poem Hamesha Ki Tarah Banhen Meri Patwar Karne Ka for youth and Student by Khaavar Jilani. Free Download Hamesha Ki Tarah Banhen Meri Patwar Karne Ka in PDF.