Dukh To Dukh The Jo Idhar Bahr-e-aman Aa Nikle
dukh to dukh the jo idhar bahr-e-aman aa nikle
aap is dil ke KHarabe mein kahan aa nikle
ek zara nikle to aawaz daba den apni
kya karen chup ka agar us ki zaban aa nikle
jaane kab qahqahe rona paDen ahbab ke sath
jaane atraf mein kab shahr-e-fughan aa nikle
kuchh to dil-jui chale dhup-numa KHwahish ki
dasht mein tazkira-e-abr-e-rawan aa nikle
mere qadmon se kare junhi masafat aaghaz
zad-e-rah mein se usi waqt ziyan aa nikle
dekhte dekhte suraj ka lahu sham hui
shab ke aalam the jitne bhi ba-jaan aa nikle
apne sahra se bandhe pyas ke mare hue hum
muntazir hain ki idhar koi kuan aa nikle
kya main phir bhi na karun aag sulagne ka guman
jab meri sans ki nali mein dhuan aa nikle
aaine bech ke ab chalte bano 'KHawar' tum
is se pahle ki koi sang-e-giran aa nikle
(793) Peoples Rate This