Chalte Chalte Rahon Se KaT Jaana PaDta Hai
chalte chalte rahon se kaT jaana paDta hai
hote hote manzar se haT jaana paDta hai
dekhna paD jata hai KHud ko kar ke ek tamashai
apni dhul uDa kar KHud aT jaana paDta hai
KHattati se dur bhaTakne wale soch ke daman ko
kore kaghaz ke hathon phaT jaana paDta hai
sazina jab qadam baDhata hai us ki pazebon ka
kanon ko jhankar ki aahaT jaana paDta hai
KHwahish mar jae to us ki chita ko aag dikhane mein
dhaDkan dhaDkan dil ke marghaT jaana paDta hai
tab nahin ho jis mein kanch ko reza reza karne ki
us patthar ko TukDon mein baT jaana paDta hai
KHud ke mutlashi ko ek na ek din aaKHir-kar apne
bhule-bisre hue ki chaukhaT jaana paDta hai
sachchai wo jang hai jis mein baz auqat sipahi ko
aap muqabil apne hi DaT jaana paDta hai
ek chingari aag laga jati hai ban mein aur kabhi
ek kiran se zulmat ko chhaT jaana paDta hai
baat riya-kari ke bin ban pati nahin hai 'KHawar'
is dozaKH mein karwaT karwaT jaana paDta hai
(878) Peoples Rate This