Ata Ke Zor-e-asar Se Bhi TuT Sakti Thi
ata ke zor-e-asar se bhi TuT sakti thi
wo shaKH bar-e-samar se bhi TuT sakti thi
main dil mein sach ki numu se tha KHauf khaya hua
ki sip tab-e-gohr se bhi TuT sakti thi
usi pe tha mere har ek tir ka takiya
kaman jo khinch ke Dar se bhi TuT sakti thi
paDi thi aah ko hi KHud-numai ki warna
KHamoshi dida-e-tar se bhi TuT sakti thi
juDe hue the bahut waswase KHayalon se
so nind KHwab ke shar se bhi TuT sakti thi
dilon ki shishagari kar-gah-e-hasti mein
hunar ke zer o zabar se bhi TuT sakti thi
ye aab wo tha ki aatish bhaDak na pane ki
riwayat ek sharar se bhi TuT sakti thi
main ek aisa kinara tha jis ki qurbat ko
wo lahar apne bhanwar se bhi TuT sakti thi
har ek lashkari itra raha tha jis pe wo tegh
KHayal-ha-e-zarar se bhi TuT sakti thi
zamin na hoti agar is kamal ki hamil
qayamat aasman par se bhi TuT sakti thi
tu KHush-nasib tha warna teri ana ki fasil
Kamala-e-sirf-e-nazar se bhi TuT sakti thi
(751) Peoples Rate This