Zamin Ke Hath Mein Hun Aur Na Aasman Ke Hi
zamin ke hath mein hun aur na aasman ke hi
paDa hua hun main aisi jagah pe jaan ke hi
na hum se kahte hain kuchh aur na hum se sunte hain
ye aadmi hain kisi dusre jahan ke hi
tere jahan ke jhagDon mein hath kyun Dalon
mujhe bahut hain bakheDe mere makan ke hi
suna rahi hai jise joD joD kar duniya
tamam TukDe hain wo meri dastan ke hi
tere falak pe hai kya aur bhi koi raushan
chamak rahe hain sitare to KHak-dan ke hi
hamein jo man rahe hain zaban se bhi apni
is intiha pe wo aae hain dil se man ke hi
kisi se koi nahin baz-purs duniya mein
zamana pichhe paDa hai hamari jaan ke hi
to kya tujhe bhi koi aur kaam baqi nahin
jo hum pe rahne lage din ye imtihan ke hi
magar ye qatl ki sazish kahan se aa nikli
wo KHat wo log to the mere KHandan ke hi
so band karna paDa mujh ko karobar-e-hayat
wo aa ke baiTh gaya samne dukan ke hi
(1005) Peoples Rate This