Ye Marhala Hai Mere Aazmae Jaane Ka
ye marhala hai mere aazmae jaane ka
mila hai hukm mujhe kashtiyan jalane ka
bahana DhunD rahe hain tamam ahl-e-sitam
fasil-e-shahr-e-wafa mein naqab lagane ka
baDe sukun se soi hai aaj KHilqat-e-shahr
mana ke jashn charaghon ki lau bujhane ka
hawa-e-shahr hi jab ho gai KHilaf mere
use bhi aa gaya fan ungliyan uThane ka
mere wajud mein zinda hai shaukat-e-mazi
main ek sutun hun guzre hue zamane ka
ruki hui hai lab-e-KHushk par hayat ki bund
phir us ke baad to manzar hai Dub jaane ka
safar ki sham meri zindagi ke mathe par
bas ek sitara tere nur aastane ka
(773) Peoples Rate This