Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1b70b522f9e8145c2e040a8e1f46577f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Is KHwab Ne Ek Arse Tak Be-tab Rakkha Hai - Khaavar Ejaz Poetry In English - Darsaal

Mujhe Is KHwab Ne Ek Arse Tak Be-tab Rakkha Hai

mujhe is KHwab ne ek arse tak be-tab rakkha hai

ek unchi chhat hai aur chhat par koi mahtab rakkha hai

kisi ke waste taza kinaron ko ubhaara aur

mujhe sadiyon purane shauq mein gharqab rakkha hai

jazire aur sahil sab zamane ke liye rakkhe

mera sara ilaqa us ne zer-e-ab rakkha hai

sutun-e-shauq par ek raushni si paD rahi hai jo

charagh-e-arzu koi tah-e-mehrab rakkha hai

kisi ko to jahan bhar mein farawan kar diya us ne

mujhe kuchh soch kar is dahr mein nayab rakkha hai

(837) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Is KHwab Ne Ek Arse Tak Be-tab Rakkha Hai In English By Famous Poet Khaavar Ejaz. Mujhe Is KHwab Ne Ek Arse Tak Be-tab Rakkha Hai is written by Khaavar Ejaz. Read famous Poem Mujhe Is KHwab Ne Ek Arse Tak Be-tab Rakkha Hai for youth and Student by Khaavar Ejaz. Free Download Mujhe Is KHwab Ne Ek Arse Tak Be-tab Rakkha Hai in PDF.