Jab Ek Bar Kisi Intiha Pe Ja Thahre
jab ek bar kisi intiha pe ja Thahre
phir us ke baad nazar raston mein kya Thahre
safar pe nikle the jab zindagi giraft mein thi
maal-e-kar bas ek mauja-e-hawa Thahre
ajab nahin hai ki barson ke ghup andhere mein
diya jalaen to manzar hi dusra Thahre
chamak uThe kabhi aa kar meri hatheli par
wahi sitara kabhi aasman pe ja Thahre
mufahamat ki nikalti nahin hai rah koi
jab apne apne usulon pe baat aa Thahre
hum ek aise dorahe pe aa chuke hain ki ab
qadam baDhae to raste juda juda Thahre
main apne sans ki gaThri utar lun sar se
hayat-e-tez-safar se kaho zara Thahre
(782) Peoples Rate This