Hudud-e-jaan Mein Had-e-na-rasa Se Aaya Hun
hudud-e-jaan mein had-e-na-rasa se aaya hun
main apne aap mein la-intiha se aaya hun
chamak rahi hai jabin par safar ki dhul abhi
zamin ki dhund mein raushan faza se aaya hun
main kis ki aankh mein tabir ki tarah jagun
sunahra KHwab hun aur qartaba se aaya hun
meri hatheli pe raushan najat ka lamha
main aaj wadi-e-hamd-o-sana se aaya hun
mujhe sambhaal ke rakh shahr-e-be-lihaz ki main
kisi faqir-manash ki dua se aaya hun
zawal-e-ahd to shayad mujhe na pahchane
main ek hawala hun aur karbala se aaya hun
(797) Peoples Rate This