Ek Qatra-e-mani Se Afkar Ka Dariya Ho

ek qatra-e-mani se afkar ka dariya ho

ai zarra-e-agahi ab phail ke sahra ho

rafta rahe wabasta har haal dariche se

farda ke jharokon mein mazi ka ujala ho

ai bichhDi hui naddi kis dasht mein bahti hai

phir jaanib-e-dariya aa aur shamil-e-dariya ho

aafaq-e-bulandi se aawaz ye aati hai

ek asr mein shamil ho ek pal se alahada ho

lamhe ki haqiqat kya sadiyon ke tanazur mein

lekin jise tu chahe wo rashk-e-zamana ho

is dhup ke rahi ko anjam se kuchh pahle

ek aisi masafat de jis par tera saya ho

aisa na ho wo mange tasdiq ka ek lamha

aur hum ne wahi lamha mahfuz na rakkha ho

(768) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Qatra-e-mani Se Afkar Ka Dariya Ho In English By Famous Poet Khaavar Ejaz. Ek Qatra-e-mani Se Afkar Ka Dariya Ho is written by Khaavar Ejaz. Read famous Poem Ek Qatra-e-mani Se Afkar Ka Dariya Ho for youth and Student by Khaavar Ejaz. Free Download Ek Qatra-e-mani Se Afkar Ka Dariya Ho in PDF.