Darun-e-jaan Ka Shagufa Jala Hua Nikla

darun-e-jaan ka shagufa jala hua nikla

so jo sharar bhi nikla bujha hua nikla

chura ke le gai jaane hawa-e-shab kya kya

uThe to KHwab-daricha khula hua nikla

ek arse baad hui khul ke guftugu us se

ek arse baad wo kanTa chubha hua nikla

dhari hi rah gai KHwahish nihaal hone ki

numu ka daur tha aur dil dukha hua nikla

khule paDe the sabhi dar makan-e-hasti ke

makin KHud kahin bahar gaya hua nikla

faza-e-jaan mein to ek iztirar tha hi magar

jahan-e-dil mein bhi dhaDka laga hua nikla

ek umr KHwab mein guzri thi rang bharte hue

khuli jab aankh to manzar dhula hua nikla

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darun-e-jaan Ka Shagufa Jala Hua Nikla In English By Famous Poet Khaavar Ejaz. Darun-e-jaan Ka Shagufa Jala Hua Nikla is written by Khaavar Ejaz. Read famous Poem Darun-e-jaan Ka Shagufa Jala Hua Nikla for youth and Student by Khaavar Ejaz. Free Download Darun-e-jaan Ka Shagufa Jala Hua Nikla in PDF.