Charagh-e-shauq Jala Raat Ke Asar Se Nikal
charagh-e-shauq jala raat ke asar se nikal
safar na rok tilismat-e-rahguzar se nikal
kabhi to dast-e-hinai se likh visal ki rut
kabhi to shisha-e-jaan TuTne ke Dar se nikal
jawaz DhunD na apni sada bikharne ka
hayat mohr-ba-lab dast-e-chaara-gar se nikal
zara si wusat-e-idrak mein na gum ho ja
is imtihan se guzar hairat-e-KHabar se nikal
tere KHayal mein hun shahr-e-raftagan tu bhi
kisi khanDar se ubhar aks-e-baam-o-dar se nikal
zakat-e-KHwab mein de di hain main ne aankhen bhi
ab ai jahan-e-digar hita-e-nazar se nikal
nigah-e-zard mein ug sabz KHwab ki konpal
gulab-e-shaKH phir ujDe hue shajar se nikal
bandhe hain sham sutunon se subh ke tare
jamal-e-yar kisi naqsh-e-motabar se nikal
fasil-e-shahr pe aks-e-shab-e-tassuf hai
najat-e-gham ki kiran KHema-e-sahar se nikal
(932) Peoples Rate This