Charagh-e-shauq Jala Kar Kahan Se Jaana Tha

charagh-e-shauq jala kar kahan se jaana tha

hamein to ho ke saf-e-dushmanan se jaana tha

ye dil ye shahr-e-wafa kab use pasand aaya

wo be-qarar tha us ko yahan se jaana tha

nazar mein rakkha nahin ek bhi sitara tera

ki KHak-zad the hum aasman se jaana tha

kisi bahane sahi zindagi ka qarz utra

hamein to waise bhi ek roz jaan se jaana tha

nadi mein rah ke chaTanon se darguzar karna

ye hum ne fitrat-e-mauj-e-rawan se jaana tha

(820) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charagh-e-shauq Jala Kar Kahan Se Jaana Tha In English By Famous Poet Khaavar Ejaz. Charagh-e-shauq Jala Kar Kahan Se Jaana Tha is written by Khaavar Ejaz. Read famous Poem Charagh-e-shauq Jala Kar Kahan Se Jaana Tha for youth and Student by Khaavar Ejaz. Free Download Charagh-e-shauq Jala Kar Kahan Se Jaana Tha in PDF.